Dekh lete ho mohabbat se yehi kaafi hai... - Pak Urdu Hub

Find latest collection of Sad Poetry, Shayari & Urdu Ghazals, Sad Urdu shayari is very famous in Pakistan and around the world.Poetry in Urdu اردو شاعری Urdu Shayari of Urdu poets from Pakistan and India. Read Ghazals and Nazams online, with large collection of love poetry,Sabaq Amoz Waqiat,Quran Pak, Islam Quran, Islamic Teachings, Islamic Dua, Urdu Quotes, Hadith..

Thursday, 6 February 2014

Dekh lete ho mohabbat se yehi kaafi hai...

Dekh lete ho mohabbat se yehi kaafi hai,
Dil dharakta hai sahulat se, yehi kaafi hai,

Haal dunya ke sataye huye kuch logon ka,
Puch lete ho shararat se, yehi kaafi hai,

Jo bhi raste mein guzarta hai mere pehlu se,
Dekhta hai teri nisbat se, yehi kaafi hai,

Muddat’ton se nahin dekha tera jalwa lekin,
Yaad ajate ho shidat se, yehi kaafi hai,

Saari dunya se ulajhte hain lekin tera kahaa,
Maan jate hain sharafat se, yehi kaafi hai,

Kya hua hum jo muyassar jo zar-o-maal nahin,
Katt rahi hai bari izat se, yehi kaafi hai,

Aaj ke ehd taghaful mein kisi dar pe Munir,
Koi ajaye zarurat se, yehi kaafi hai..!

No comments:

Post a Comment